Friday, September 28, 2007

Two line Shayari Collections

·

Paas rehta hai......door rehta hai..
Koi Dil mein..... zaroor rehta hai

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Baithey Baithey Ghabraaey Hum
Jaaney Kissey Yaad Aaiey Hum

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Yeh Soch ke hum ne Jaan de di
Mayyat pe meri "Woh" aaey gaa

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mujh ko mehsoos hua hai aksar
' Toou ' Mujhey dekh raha ho jaisey

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Pehli si ab Milaap ki soorat nahin rahi
Aik doosrey ki Hum ko zuroorat nahin rahi

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

" Uss" sey Aik baar tou roothoon Mein, Ussi ki tarha
Aur Meri tarha sey " Woh " Mujh ko manaaney Aey

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Hur lafz kitaabon mein Tera Aks liyey hai
Aik phool sa Chehra Mujhey parhney nahin deta

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Taqdeer bananey waley, Toou ne Kumi na kee

Ab kiss ko kya mila, Yeh muqadder ki baat hai

Mujhey tou Apnon ne loota, Ghairon mein kahaan Dum tha

Meri kashti thi doobi wahaan, jahaan Paani kum tha

Merey Khuda, Mujhey itna tou Mo'tabar kar dey
Mein jiss ' Makaan ' mein rehta hoon, uss ko ' Ghar' kar dey

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Agar talaash karoon, koi mil hi jaaey gaa
Magar Tumhaari tarah kaun Mujh ko chaahey gaa

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aik cheez Qayamat bhi hai, Laugon sey suna kartey thay
Tujhey dekh ke Hum ne Maana, Woh theek kaha kartey thay

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ruka hua hai ajab Dhoop chhaa'on ka Mausum
guzar raha hai koi dil sey Baadalon ki tarah

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mein nay dushman ko bhi ahsaas-e-mohabbat bakhsha
Merey apney Mujhay Nafrat ki saza daitay hain

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ab Dil ko Intezaar ki Aadat si hogaee
Yeh haal kardiya hai, Terey intezaar nay

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Na beeti thi kabhi jiss ki Chaand raat, Uss ki.....
Suhaag Raat Humaarey baghair Beet gai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Shab-e-Wisaal mein roshan charaagh gul kar do
Khushi ki buzm mein kya kaam jalney waalon ka

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Sab kuch Khuda sey maang liya Tujh ko Maang kar
Uth'tay nahin hain haath Merey, Iss Dua ke baad

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

' Woh' jinn ki khaatir, Hum ne saari sarhadein toreen
Unhi ne Aaj kaha hai ke apni " Had " mein raho

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Hai Dil ko yaqeen, aaein gey woh laut ke aik Roz
Jaisey woh koi cheez yahaan bhool gaey hon

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Yoon hee bhar aaey Aankh mein Aansoo
Jaai'yay Aap.............. koi baat Nahin

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Toofaan kar raha tha Merey Azm ka tawaaf
Duniya samajh rahi thi ke, Kashti bhanwar mein hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Poocha Kuch iss tarah sey, USS ne Mera Mezaaj
Kehna para ke, " Shukr hai, Parwardigaar ka "

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Jab bhi aata hai Tera naam, Merey naam ke saath
Jaaney kiyon laug "Merey" Naam sey jal jaatey hain

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Doobna hi tha jo Kashti ka Muqaddar, Ya Rub
Aankh ke saamney, Aey Kaash, Na Saahil hota

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Manzil safar mein thi, qadam faaslon mein tha
Mein door tha zaroor, Magar Raaston mein tha

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mujhey Yaqeen tou nahin magar Yahi sach hai
Mein terey waastey Umrein guzaar sakta hoon

Yahi nahin ke tujhey jeetney ki khawaahish hai
Mein terey waastey khud ko bhi haar sakta hoon

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Dua ke liyey Haath kab uthaana tha.................
woh tou moonh chhupaaney ka aik bahaana tha

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Liptay kabhi Shaanon'n sey kabhi Zulf sey uljhay
Kiyon dhoond'ta rehta hai sahaarey Tera aanchal

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Jab tak bikey na thay Hum, koi poochta na tha
Toou ne Khareed ke Humein Anmol kar diya

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mein khud pehel karoon yaa UDHER se ho Ibteda
Barson guzar gaey hain yahi sohtey huey.......

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Khaamosh tum thay aur merey Hont bhi bund
Phir itni dair kaun tha jo bolta raha

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Uss waqt Intezaar ka Aalum na poochiyay
Jab koi baar baar kahey," Aa raha hoon mein "

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Badla wafa ka dein gey bari Saadgi se Hum
Tum "Hum " se rooth jaao gey aur Zindagi se Hum

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Seeney se merey Zeher utarney nahin detey
Zinda rahein woh loug jo marney nahin detey

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Be-Aetebaar waqt pe Jhunjla ke ro parey
Kho ke kabhi ussey tou kabhi Paa ke ro parey
Kab tak kissi ke soug mein rouein gey umer bhur
Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parey

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Merey Daamun mein tou kaanton ke siwa kuch bhi nahin
Aap Phoolon ke kharidaar nazar aatey hain

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Kaanton se mohabbat kartey hain , Kirdaar tu dekho phoolon ka
Zakhmon se kaleja phut jaaey par saath Nibhaana parta hai

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Badla na Merey baad bhi mauzoo-e-Guftugoo
Mein ja chuka hoon, Phir bhi Teri Mehfilon mein hoon

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ahsaas kaa andaaz badal jaata hai ,Warna
aanchal bhi ussi taar se banta hai, kafan bhi

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Hum subah paraston ki yeh reet puraani hai
Haathon mein qalam rakhna yaa haath qalam rakhna

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

yahaan kisi ko bhi kuch hasb-e-aarzoo na mila
kisi ko hum na miley aur hum ko toou na milaa

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ulfat tou hai aakhir " Unn " ko bhi, Meri na sahi... Dusman ki sahi
Mujh sey na sahi, dusman sey sahi, "woh" bhi tou mohabbat kartey hain

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Shaam hotey hi charaaghon ko bujha detaa hoon
Yeh dil hi kaafi hai teri yaad mein jalney ke liye

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Saara Shehar uss ke "Janaazey" mein tha shareek
"Tanhaaiyon" ke khauf se jo shakhs mar gaya

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Acha Khaasa baithey baithey "Gum" Ho jaata hoon
Ab Mein aksar "Mein" nahin rehta, "Tum" ho Jaata hoon

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Apni Zaat ke mehwar mein tujhey Zum kar loon
Ibaadaton mein tera Ishq bhi raqam kar loon
Terey Ashkon se ho agar "Wazoo" na-mumkin
Mein terey Jissm Ki Matti se "Tayamum" kar loon

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

0 comments: